Wednesday 24 October 2012

2 Liness Shayari



Kyun peetay hain log sharab kisi k gham main,


Saqi…!


Jhootay yaar ki khatir sachay khuda ko naraz kartay hain..


------------------------------------------------------------------------------------------------------------


Khali haathon ko kabhi ghor se dekha hai faraz


Kis tarah log lakeeron se nikal jaatay hain.......


------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kabhi Ye Dua K Usay Milei'n Jahan Ki Khushiya'n,

Kabhi Ye Khauf K Wo Khush Mere Baghair Tou Nahi...!!

------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ajab Hunar Hai Mere Haath Mein Shayari Likhne Ka

Main Apni Barbadi Likhta Hun Aur Log Wah Wah Kehte Hain..


------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kyun Hota Hai Ye , Aitbar karke Zindagi mein Aksar . .

Jo Bohat Apnay Ho , Wo Apnay Nahi Rehty . . !


------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Sari Dunya Se Jeet Sakta Hoon…

Teri Yadoo’n Ko Maat Kaise Doon


------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Maut Par Bhi Hai Yakeen, Un Par Bhi Aetbaar Hai

Dekhate Hai Pehle Kaun Aata Hai, Dono Ka Intizaar Hai


------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Teri Bewafai Ne Mera Ye Hal Kar Dia Hai,

"". Sagar .''''


Mein Nahi Rota Log Mujhe Dekh Kar Rote Hain..

------------------------------------------------------------------------------------------------------------
"Zaroori To Nahi Jo 'Khushi' Day Ussi Se "Mohabbat" Ho",
".Dost."

'PYAAR' To Aksar 'DIL' "TØRNE" Walon Se Ho Jata Hai".

------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Lagta Hai Ab K Mohabbat Ho Hi Jaye Gi


Main Ne Khuwab Mein Khud Ko Marty Dekha Hai ..♥


------------------------------------------------------------------------------------------------------------



"Wo Kitna Meharban Tha Ke Hazaron Ghum De Gaya", WASI

" Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sakay Pyar Ke Siwa.



Tuesday 23 October 2012

Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chalaa yaqin ke bure ham hain dosto

Kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
AaNkhen to dushmanon ki bhi purnam hain dosto

Apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise 
Aapani talaash men to ham hi ham hain dosto
Kuchh aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
Kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto

Is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto

Sab kuchh sahi `Faraz` par itanaa zaruur hai 
Duniyaa mien aise log bahut kam hain dosto

uch andhera bhi zaruri hai gham-e-yaar ke sath,
ab diya koi na rakhe meri dewaar ke sath,

mein jo ik umar masafat mein raha, tab jana,
rah bhi chalti rahi hai, meri raftaar ke sath,

ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ”
yun hi chal parte hein,har ik kharidaar ke sath


Kuch Tu Hee Mere Dard Ka Mafhoom Samajh Lay Faraz,
Hansta Howa Chehra To Zamaane Ke Liye Hay....

--------------------
Tum Taluq torney Ka Kahin Zikar Na Karna Faraz ....!
Main Logon Se Kehdonga K usey Fursat Nahi Milti....!

----------------------------
zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz,
Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...

---------------------
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,
Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!


------------------------
Hum Na Badlein gay waqt ki raftaar kay sath Faraz
Hum jab b milen gay andaz purana hoga..

---------------------------
ik shakhs kar raha hai abhee tak vafa ka zikr faraz.
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koee...


------------------------
Bara Andhera Tha Un Ki Rahoon MEin Ay Dil FARAZ
Mein Apna Ghar Na Jalata To Aur Kia Kerta

---------------------
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa FARAZ
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain


---------------------

Bin mangay hi mil jati hain tabeerain kisi ko “Faraz”
Koi khali hath rah jata hain hazaroon duaoon ka baad


---------------------

Mere lafzon ki pehchan agar kar laita wo Faraz
Usy mujse nahi khud say muhabbat ho jati..!!!

---------------------

Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz,
Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..!


---------------------

Mere jazbat se waqif hai mera qalm FARAZ
Main pyar likhon to tera naam likha jata hai..

---------------------

Apnay Siwa batao tumhein Kuch MiLa Hai FARAZ ..
Hazar bar lee hain tumne mere dil ki talashiyaan


---------------------

Haath zakhmi hoa kuch apni he khata the faraz
maine kismat ke lakeroun ko mitana chaha

---------------------

Us Se Milte He Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Gaya

---------------------

Pyaar Ka Daava Karne Wale Hum Ne Dekhe Hain faraz…..!
Jinhen Hum Aziz To Hain Magar Apni Masrofiyat K Baad.

---------------------

u apni mohabbat ka dawa na kia kar “faraz”
zinda tu wo bhi rahta hai jo muhabat nahi kerta

---------------------
Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab
Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!

---------------------

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .

Faraz Shayari

Iss Dafa Barshein Rukti He Nahi Faraz,

Hum Ne Ansu Kia Piye Sare Mosam Ro Pare !!!!

---------------------------------------------------------------------------------

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi

FARAZ!!

Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya..!!!
---------------------------------------------------------------------------------


Beqarari meri dekh li hai to ab mera zabt b dekhna FARAZ,
Itna khamosh rahun ga k cheekh uthay ga woh.

---------------------------------------------------------------------------------

Ab yaad nahi “faraz” mujh ko apna aap bhi
.
jis roz sy bikhra hn simat kr nahi dekha...

---------------------------------------------------------------------------------

tanhai to hai saathi apni zindagi k her ek pal ki faraz…

chalo yeh shikwa bhi door huwa k kisi ney saath na diya..

---------------------------------------------------------------------------------

faqat khuwabon se hi nahi milta sakoon sone ka”faraz”

kisi ki yaad may raat bhar jagne ka bhi apna maza hai.

---------------------------------------------------------------------------------

wo mohabton k sody b ajeeb krta hai.

faraz

bas muskurata hai or dil khareed lyta hai.

---------------------------------------------------------------------------------

wo mujh se bichar kr ab tak roya nhi..
faraz
koi to hy humdard jo usay rony nhi deta..

---------------------------------------------------------------------------------

Jaan Mangi Usne to Ye Samajh Kar De Di

FARAZ!

Kahin Inkaar k Sadmay Mai Wo Apni Jaan Na De Day!


---------------------------------------------------------------------------------

Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha “”,

FARAZ

Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay..

---------------------------------------------------------------------------------

Main apni maut ka tab tak intzar nahi karunga

faraz

jab tak wo khud nahi kahe k main abhi kisi aur kii hon

---------------------------------------------------------------------------------

Faasle ghata dete hein delon mein nafratoon ko “Fraz”

wo jo door howey tu kuch muhabbat se hony lagi….:

---------------------------------------------------------------------------------
Main Khuda Ki Nazron Me Q Naa Gunahgaar Hota  Faraz

.
.
.

K Ab to Sajdon Me Bhi Wo hi Yaad Aane laga...

Jab Sham Dhale Ankhon Tale..

Jab Sham Dhale Ankhon Tale..
Ansoo Chamke Taro Ki Tarha..

Mann Ne Kiya Bechan Is Kadar..
Arma Machle Lahro Ki Tarha..

Utha Kar Nigah Keh Diya Hal-E-Dil..
Poori Ho Dua Roshni Ki Tarha..

Na Ho Kam Abhi Chere Ka Noor Kabhi..
Sapne Ban Jaye Hakikat Jadu Ki Tarha..

Mann Ke Mandir Mein Roshan Hain Diye Ashayon Ke..
Ke Tu Mil Jaye Mujhe Zindagi Ki Tarha..



Humein kash tumse muhabbat na hoti..


Hamen Kash Tum Se Mohabbat Na Hoti
Kahani Hamari Haqeeqat Na Hoti
Na Dil Tum Ko Dete Na Majboor Hote
Na Duniya Ke Dastoor Hote
Qayamat Se Pahle Na Qayamat Hoti
Hamen Kash Tum Se Mohabbat Na Hoti
Hum Hi Barh Gaye Ishq Me Had Se Aage
Zamane Ne Thokar Lagaye To Jage
Agar Mar Bhi Jate To Hairat Na Hoti
Hamaen Kash Tum Se Mohabbat Na Hoti
Zamane Se Koi Shikayat Na Hoti
Hamen Kash Tum Se Mohabbat Na Hoti.. 

KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN

Is Raat Ki.. Tanhaiyon Ke 
Sab Rang Badal Gaye Hain 
Chand Nikla Hai Waise Hi 
Andhere Badal Gaye Hain 

Jinke Bharose Thi Khusiyan 
Wo Badal Gaye Hain 
Manzile To Abb Bhi WO Hi Hain 
Kuch Raste Badal Gaye Hain 

Jinpe Kiya Tha Bharosa Humne 
Wo Dost Bicharr Gaye Hain 
Dekthe The Kabhi Jo Humne 
Wo Kahwab Badal Gaye Hain 

Jo Bane The Kabhi Hamsafar 
Aaj WO Hi Mukarr Gaye Hain 
Aise Tute Huye Dil Ke Sare.. 
Jazbaat Badal Gaye Hain 

Na Badle Kabhi Hum 
Na Badle Hamaray Khayalat 
Bas Rona Hai Yahi...... 
KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN..







UsKo B Hum Se Waisi Hi Mohabbat Ho To Kya Baat Hai,


UsKo B Hum Se Waisi Hi Mohabbat Ho To Kya Baat Hai, 

Ek Si Dono Ki Halat Ho To Kya Baat Hai, 

Dil Ki Chahat To Khwab Jaga Deti Hai, 

Haan Mgar Sath Mein Kismat B Ho To Kya Baat Hai, 

Meri Tanhaiyan Karti Hain Jinhe Yaad, 

Sada Unko B Meri Zarurat Ho To Kya Baat Hai, 

Muskraney Se B Hota Hai Bayan Gham-E-Dil, 

Aankh Se Aansoo Tapke ? To Kya Baat Hai, 

Neend To Dard K Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai, 

Unki Jholi Mein Sar Ho To Kya Baat Hai. 

Ek Ajab Si Paheli Hai Zindagi,


Ek Ajab Si Paheli Hai Zindagi, 
Sabke Saath Hote Huye Bhi, Akeli Hai Zindagi, 

Kabhi Tu Ek Pyara Sa Armaan Hai Zindagi, 
To Kabhi Dard Se Bhara Tufaan Hai Zindagi 
Kabhi To Gulon Se Bhara Gulistan Hai Zindagi, 
To Kabhi Kanton Se Bhara Raasta Hai Zindagi, 

Kabhi Phulon Jaisi Masoom Ho Jati Hai Zindagi, 
To Kubhi Gunahon Ka Bojh Ban Jati Hai Zindagi 

Koi To Bataa De Mujhe Kya Hai Zindagi ? 
Sunaa Hai Chand Roz Ki Mehmaan Hai Zindagi, 

Zindagi Ko Chhod Ek Din Jaana Padegaa, 
Mout Ko Uss Pal Galen Lagaana Paregaa, 

Zindagi Se Chahe Jitnaa Piyaar Tum Kar Lo, 
Hoti To Aakhir Bewaffa Hai Zindagi. . . . . ;->

Us Ne Pyar Ka KheL ßhi Nafrat Se KheLa,


Us Ne Pyar Ka KheL ßhi Nafrat Se KheLa, 

Har ßaar Wo ZaLim Meri Hasrat Se KheLa, 

Meri Jaan-O-DiL Pe Saara Haq Tha Use, 

Dukh Itna Hai K Wo Meri Ghurßat Se KheLa, 

DiL Torra To ßikharney ßhi Na Dia Us Ne, 

Merey DiL K Saath Kitni ULfat Se KheLa, 

Kesay Us K Hathon Mein ßrßaad Na Hota 

"FARAZ", 

PehLi ßaar Zindgi Mein Koi Itni Mohaßat Se KheLa.!

MOHABBAT JEET HOTI HAI MAGAR YE HAAR JAATI HAI

MOHABBAT JEET HOTI HAI MAGAR YE HAAR JAATI HAI
KABHI DIL SOZ LAMHON SE KABHI BEKAR RASMON SE
KABHI TAQDIR WALON SE
KABHI MAJBOR QASMON SE
MAGAR YEH HAAR JATI HAI

KABHI YEH PHOOL JAISI HAI KABHI YEH DHOOL JAISI HAI
KABHI YEH CHAND JAISI HAI KABHI YEH DHOOP JAISI HAI
KABHI YEH MASROR KARTI HAI KABHI YEH ROG DETI HAI
KISI KA CHAIN BANTI HAI
KISI KO ROND DETI HAI
KABHI LE PAAR JATI HAI
KABHI YEH MAAR JATI HAI
MOHABAT JEET HOTI HAI
MAGAR YEH HAR JATi HAI...

Kaash Ham Bata Paate

Kaash Ham Bata Paate

Kitna Chaha Hai Tum Ko

Kitna Pooja Hai Tum Ko

Kis Qadar Mohabbat Hai,

Kis Qadar Zarorat Hai

Kaash Ham Bata Paatay

Jaan Ye Tumhari Hai,

Her Khushi Tumhari Hai

Dil Lagi Tumhin Say Hai

Zindagi Tumhin Say Hai

Kaash Hum Bata Paatay

Rooh Ki Zarorat Ho

Dil Ki Ibadat Ho

Meri Tum Muhabbat Ho

Kaash Hum Bata Paatay

Sirf Tum Muhabat Ho

Sirf Tum Ko Chaha Hai

Sirf Tum Hi Chahat Ho

Kaash Ham Bata Paatay.....

Mai Hi Zara Dewana Tha...

Wo Tittli Thi Usy Urr Jana Tha

Use Mere Hath Mai Kab Aana Tha

Mai Dhoondta Raha Use Diwanon Ki Tarah

Us Ki Koi Manzil Na Koi Thikana Tha

Es liye Se Us Ne Mera Hath Nahi Thama

Kiu K Raasty Me Use Chor Jana Tha

Us Ne Aansu B Bohat Bahaye Lekin

Baad Me Pata Chala Ye Sub Bahana Tha

Meri Deewangi To Had Se Guzer Gayi Magar 

Us K Liye To Mahez Ye Dil Lagana Tha

Qasoor Us Ka Nahi Es Mai Koi Dost

Khata To Apni Thi Mai Hi Zara Dewana Tha...