Monday, 22 October 2012


Chamakate chand ko toota hua taara bana dala..


Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….2
Meri aawaargi ne mujhko aawara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Badaa dilkash badaa rangeen hai ye seher kehte hain….2
Yahaan par hain hazaaron ghar,
Gharon mein log rehte hain….
Mujhe is seher ne galiyon ka banjara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Mein is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun….2
Na mujh se ban sakaa chota sa ghar din raat rota hun…
Khudaya tune laise ye jahaan saara banaa dala..
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Mere maalik mera dil kyun tadapta hai sulagta hai….2
Teri marzi teri marzi pe kiska zor chalta hai,
Kisi ko gul kisi ko tune angaara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Yahi aawaz tha mera yahi anjaam hona tha….2
Mujhe barbaad hona tha mujhe naakaam hona tha..
Mujhe takdeer ne takdeer ka maara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….2
Meri aawaargi ne mujhko aawara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….

No comments:

Post a Comment