Labon pe haraf naa koyi sawaal rakhtaa thaa,
Kabhi main bhi zabat main itnaa kamaal rakhtaa thaa ... !
Khabar kahaan thi mujhe hi wo bhool jayegaa,
Ek ek cheez meri jo sambhaal rakhtaa thaa ... !!
Bichhadte waqat bazaahar to kuchh naa bolaa tha,
Magar nighaon main so so sawaal rakhtaa thaa ... !!!
Wo muskura ke bohut dair chup rahaa aakhir,
Jaise hansi ki aad main bahut malaal rakhtaa thaa ... !!!!
Sunaa hai ab bhi log use bohut sataate hain,
Jis aik shaksh kaa main bohut khayaal rakhtaa thaa ... !!!!!
No comments:
Post a Comment