Friday 27 January 2012

mohabbat raas na aayi..

mohabbat raas na aayi.. 
bedardi se preet lagaake 
dil ka chain gawaayi
mohabbat raas na aayi..

kaun disha mein dhundu usako , 
woh nikala harjaayi
mohabbat raas na aayi..

kyun apana hum dil de baithe , 
kaahe aankh ladaayi
mohabbat raas na aayi ..

dena tha jab dhoka usako,
phir kyun baat badhaayi
mohabbat raas na aayi ..
bedardi se preet lagaake 
 dil ka chain gawaayi
mohabbat raas na aayi..

Waqt Apni Rawani Me Dhalta Raha..


Waqt Apni Rawani Me Dhalta Raha.. 
Me Tanha Tha Tanha He Chalta Raha..

Kabhi Hansta Tha Apne Naseebon Pe Mai.. 
Kabhi Andar Hi Andar Me Jalta Raha ..


Kahin Shikwe Mile Aur Kahin Thokrein.. 
Choten Aisi Lagi K Sanbhalta Raha..

Us Ko Pane Ki Khatir To Sab Kuch Kiya.. 
Wohi Sangdil Tha Raste Badalta Raha.. 

Thursday 19 January 2012

Ek Mohabbat Hai


Ek Mohabbat Hai Or
Us Ki Ek Nishaani Hai

Ek Dil Hai Jaise
Haweli Koi Puraani Hai

Safar Raat Ka Hai Or
Raat Bhi Toofaani Hai

Samander Hi Samander Hai
Kashti Bhi Doob Jani Hai

Ibtada-E-Ishq Se
Intaha-E-Ishq Tak

Mai Hi Tha BeWafa Or
Mujhe Hi Wafa Nibhani Hai

Mai Laut Aaya Hun
Manzill Ko Dekh Kr

Udhar To Yaaro
Virani Hi Virani Hai

Ye Intazaar-E-Sehar
Khatam Kyu Nhi Hota

Kisi Sey Pucho Akhir
Maut Kb Aani Hai......

YuN Akelay Mein Usay Meri -Wafa Yaad Aaye


YuN Akelay Mein Usay Meri -Wafa Yaad Aaye

Jaise Bande Ko Museebat Mein Khuda Yaad Aaye

Jaise BhaTkay Huye Panchhi Ko Thikana Apna

Jaise ApnoN K BichhaRnay Pe Dua Yaad Aaye

Jaise Dhalti Hui ShaamoN Ko Sawera Koi

Jaise Pinjray Mein Parinday Ko Fiza Yaad Aaye

Jaise BooRhay Ko Khayälät Mein Bachpan Apna

Jaise Bachchay Ko Sharärat Pe Saza Yaad Aaye

Jaise UjRi Hui Basti Ko Zamäna Apna

Jaise TufaaN K Thehrnay Pe Diya Yaad Aaye

Woh Nahi Mera Magar Us Se Muhabat Hai,To Hai.


Woh Nahi Mera Magar Us Se Muhabat Hai,To Hai.

Yeh Agar Rasmon Riwajhon Se Baghawat Hai, To Hai..

Sach Ko Mai Ne Sach Kaha, Jab Keh Diya To Keh Diya.

Ab Zamanay Ki Nazar Me Yeh Himaqat Hai, To Hai.

Dost Ban Kar Dushmano Ki Tarah Woh Satata Hai Mujhe.

Phir Bhi Us Pathar Dil Pay Marna Apni Fitrat Hai,To Hai.

Kab Kaha Mai Ne K Woh Mil Jaye Mujh Ko.

Us Ki Baahon Me Dam Nikle Itni Hasrat Hai,To Hai.

Mai Hi Zara Dewana Tha...


Wo Tittli Thi Usy Urr Jana Tha

Use Mere Hath Mai Kab Aana Tha

Mai Dhoondta Raha Use Diwanon Ki Tarah

Us Ki Koi Manzil Na Koi Thikana Tha

Es liye Se Us Ne Mera Hath Nahi Thama

Kiu K Raasty Me Use Chor Jana Tha

Us Ne Aansu B Bohat Bahaye Lekin

Baad Me Pata Chala Ye Sub Bahana Tha

Meri Deewangi To Had Se Guzer Gayi Magar 

Us K Liye To Mahez Ye Dil Lagana Tha

Qasoor Us Ka Nahi Es Mai Koi Dost

Khata To Apni Thi Mai Hi Zara Dewana Tha...

Kaash Ham Bata Paatay


Kaash Ham Bata Paate

Kitna Chaha Hai Tum Ko

Kitna Pooja Hai Tum Ko

Kis Qadar Mohabbat Hai,

Kis Qadar Zarorat Hai

Kaash Ham Bata Paatay

Jaan Ye Tumhari Hai,

Her Khushi Tumhari Hai

Dil Lagi Tumhin Say Hai

Zindagi Tumhin Say Hai

Kaash Hum Bata Paatay

Rooh Ki Zarorat Ho

Dil Ki Ibadat Ho

Meri Tum Muhabbat Ho

Kaash Hum Bata Paatay

Sirf Tum Muhabat Ho

Sirf Tum Ko Chaha Hai

Sirf Tum Hi Chahat Ho

Kaash Ham Bata Paatay.....

MOHABBAT JEET HOTI HAI MAGAR YE HAAR JAATI HAI


MOHABBAT JEET HOTI HAI MAGAR YE HAAR JAATI HAI
KABHI DIL SOZ LAMHON SE KABHI BEKAR RASMON SE
KABHI TAQDIR WALON SE
KABHI MAJBOR QASMON SE
MAGAR YEH HAAR JATI HAI

KABHI YEH PHOOL JAISI HAI KABHI YEH DHOOL JAISI HAI
KABHI YEH CHAND JAISI HAI KABHI YEH DHOOP JAISI HAI
KABHI YEH MASROR KARTI HAI KABHI YEH ROG DETI HAI
KISI KA CHAIN BANTI HAI
KISI KO ROND DETI HAI
KABHI LE PAAR JATI HAI
KABHI YEH MAAR JATI HAI
MOHABAT JEET HOTI HAI
MAGAR YEH HAR JATi HAI

Us Ne Pyar Ka KheL ßhi Nafrat Se KheLa,

Us Ne Pyar Ka KheL ßhi Nafrat Se KheLa, 

Har ßaar Wo ZaLim Meri Hasrat Se KheLa, 

Meri Jaan-O-DiL Pe Saara Haq Tha Use, 

Dukh Itna Hai K Wo Meri Ghurßat Se KheLa, 

DiL Torra To ßikharney ßhi Na Dia Us Ne, 

Merey DiL K Saath Kitni ULfat Se KheLa, 

Kesay Us K Hathon Mein ßrßaad Na Hota 

"FARAZ", 

PehLi ßaar Zindgi Mein Koi Itni Mohaßat Se KheLa.!

Ek Ajab Si Paheli Hai Zindagi,

Ek Ajab Si Paheli Hai Zindagi, 
Sabke Saath Hote Huye Bhi, Akeli Hai Zindagi, 

Kabhi Tu Ek Pyara Sa Armaan Hai Zindagi, 
To Kabhi Dard Se Bhara Tufaan Hai Zindagi 
Kabhi To Gulon Se Bhara Gulistan Hai Zindagi, 
To Kabhi Kanton Se Bhara Raasta Hai Zindagi, 

Kabhi Phulon Jaisi Masoom Ho Jati Hai Zindagi, 
To Kubhi Gunahon Ka Bojh Ban Jati Hai Zindagi 

Koi To Bataa De Mujhe Kya Hai Zindagi ? 
Sunaa Hai Chand Roz Ki Mehmaan Hai Zindagi, 

Zindagi Ko Chhod Ek Din Jaana Padegaa, 
Mout Ko Uss Pal Galen Lagaana Paregaa, 

Zindagi Se Chahe Jitnaa Piyaar Tum Kar Lo, 
Hoti To Aakhir Bewaffa Hai Zindagi. . . . . ;->

UsKo B Hum Se Waisi Hi Mohabbat Ho To Kya Baat Hai,

UsKo B Hum Se Waisi Hi Mohabbat Ho To Kya Baat Hai, 

Ek Si Dono Ki Halat Ho To Kya Baat Hai, 

Dil Ki Chahat To Khwab Jaga Deti Hai, 

Haan Mgar Sath Mein Kismat B Ho To Kya Baat Hai, 

Meri Tanhaiyan Karti Hain Jinhe Yaad, 

Sada Unko B Meri Zarurat Ho To Kya Baat Hai, 

Muskraney Se B Hota Hai Bayan Gham-E-Dil, 

Aankh Se Aansoo Tapke ? To Kya Baat Hai, 

Neend To Dard K Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai, 

Unki Jholi Mein Sar Ho To Kya Baat Hai. 

KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN

Is Raat Ki.. Tanhaiyon Ke 
Sab Rang Badal Gaye Hain 

Chand Nikla Hai Waise Hi 
Andhere Badal Gaye Hain 
Jinke Bharose Thi Khusiyan 
Wo Badal Gaye Hain 
Manzile To Abb Bhi WO Hi Hain 
Kuch Rastay Badal Gaye Hain 
Jinpe Kiya Tha Bharosa Humne 
Wo Dost Bicharr Gaye Hain 
Dakhe Thay Kabhi Jo Humne 
Wo Kahwab Badal Gaye Hain 
Jo Banay Thay Kabhi Hamsafar 
Aaj WO Hi Mukarr Gaye Hain 
Aise Tutay Huye Dil Kay Saray.. 
Jazbaat Badal Gaye Hain 
Na Badle Kabhi Hum 
Na Badle Hamaray Khayalat 
Bas Rona Hai Yahi...... 
KUCHH LOG BADAL GAYE HAIN

Humein kash tumse muhabbat na hoti..


Hamein Kash Tum Say Muhabbat Na Hoti
Kahani Hamari Haqeeqat Na Hoti
Na Dil Tum Ko Dete Na Majboor Hote
Na Duniya Na Duniya Ke Dastoor Hote
Qayamat Se Pahlay Na Qayamat Hoti
Hamain Kash Tum Se Muhabat Na Hoti
Hum Hi Barh Gaye Ishq Main Had Se Aage
Zamanay Ne Thokar Lagaye To Jage
Agar Mar Bhi Jate To Hairat Na Hoti
Hamaen Kash Tum Se Muhabat Na Hoti
Zamanay Se Koi Shikayat Na Hoti
Hamein Kash Tum Se Muhabat Na Hoti.. 

Jab Sham Dhale Ankhon Tale..


Jab Sham Dhale Ankhon Tale..

Ansoo Chamke Taro Ki Tarha..

Mann Ne Kiya Bechan Is Kadar..

Arma Machle Lahro Ki Tarha..

Utha Kar Nigah Keh Diya Hal-E-Dil..

Poori Ho Duya Roshni Ki Tarha..

Na Ho Kam Abhi Chere Ka Noor Kabhi..

Sapne Ban Jaye Hakikat Jadu Ki Tarha..

Mann Ke Mandir Mein Roshan Hain Diye Ashayon Ke..

Ke Tu Mil Jaye Mujhe Zindagi Ki Tarha.. 

Ek pagli mera naam jo le..

Ek pagli mera naam jo ley, sharmaye b, ghabraye b
galiyun galiyun muj se milney aye b, ghabraye b

raat gaye ghar janey wali gumsum larki raahon main
apni uljhi zulfoon ko suljhaye b, ghabraye b

kon bichar kar phir lautey ga, kiun awaara phirtey ho?
raaton ko ik chaand muje samjhaye b, ghabraye b

aney wali rut ka kitna khauf hai uski aankhon main
jaaney wala door se haat hilaye b, ghabraye b

kia janey woh kon hai Mohsin jis ki khaatir Raaton ko
taiz hawa pani par naqsh banaye b, ghabraye b

Ye dil ye pagal dil mera..


Ye dil ye paagal dil meraa kyo.n bujh gayaa aavaaragii
is dast me.n ik shahar tha vo kyaa huaa aavaaragii 

kal shab mujhe be shakl kii aavaaz ne chau.nkaa diyaa
mai.n ne kahaa tuu kaun hai us ne kahaa aavaaragii 

ik tuu ki sadiyo.n se meraa ham raah bhii ham raaz bhii
ik mai.n ki tere naam se naa aashanaa aavaaragii 

ye dard kii tanahaaiyaa.N ye dasht kaa lambaa safar
ham log to ukataa gaye apanii bataa aavaaragii 

ik ajanabii jho.nke ne jab puuchhaa mere Gam kaa sabab
saharaa kii bhiigii ret par mai.n ne likhaa aavaaragii 

le ab to dast-e-shab kii saarii vusaate.n sone lagii.N
ab jaaganaa hogaa hame.n kab tak bataa aavaaragii 

kal raat tanahaa chaa.Nd ko dekhaa thaa mai.n ne Kvaab me.n
'Mohsin' mujhe raas aayegii shaayad sadaa aavaaragii 

Wafa jo tumse kabhi..

WAFA JO TUMSE MAINE NUBHAI HOTI
UMR MUFT ME NA SADAK PE GAVAI HOTI

SAAP YADO KE HI DASTE MUJKO SHAMM SAHAR
VO JO SOTE TO NEED MUJHE BHI AAYI HOTI

TERI CHAOKHAT SE JO NA AAYA HOTA
MAIN KHUSA HOTA DUNIYA PE KHUDAI HOTI

HOTI GAIRAT TO TERE SAATH HI MAR JATE SANAM
LAAS KANDHO PE NA U APNI UTHAI HOTI

HAATA KYA AAYA MERE SYAHI K SIVA
DEKNE VALO MERE TO TABAHI HOTI

Zindagi se yehi gilaa hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe

Hamsafar chaahiye, hujoom nahin
Ek musaafir bhi, qaafila hai mujhe

Dil dhadakta nahin sulagtaa hai
Woh jo khwahish thi, aabala hai mujhe

Lab-kusha hoon to is yakiin ke saath
Qatl hone ka hosala hai mujhe

Tu mohabbat se koii chaal to chal
Haar jaane ka hausla hai mujhe

Kaun jaane ki chaahaton maiN FARAZ!
Kya ganwaaya hai, kya mila hai mujhe

Chamakate chand ko toota hua taara bana diya..


Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….2
Meri aawaargi ne mujhko aawara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Badaa dilkash badaa rangeen hai ye seher kehte hain….2
Yahaan par hain hazaaron ghar,
Gharon mein log rehte hain….
Mujhe is seher ne galiyon ka banjara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Mein is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun….2
Na mujh se ban sakaa chota sa ghar din raat rota hun…
Khudaya tune laise ye jahaan saara banaa dala..
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Mere maalik mera dil kyun tadapta hai sulagta hai….2
Teri marzi teri marzi pe kiska zor chalta hai,
Kisi ko gul kisi ko tune angaara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….
Yahi aawaz tha mera yahi anjaam hona tha….2
Mujhe barbaad hona tha mujhe naakaam hona tha..
Mujhe takdeer ne takdeer ka maara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….2
Meri aawaargi ne mujhko aawara banaa dala…
Chamakte chaand ko tuta hua taara banaa dala….

Humein to ab bhi wo gujra zamana yaad hai..



Hamein to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai
tumhe bhi kya kabi koi dewana yaad aata hai…
hawaein tej thi, baarish bhi thi, tufan bhi tha lekin
tera aise main bhi waada nibhana yaad aata hai
guzar chuki thi bahut raat baaton-baaton main
fir uth k woh tera shama bujhana yaad aata hai
ghatayein kitni hi dekhi hain par mujhe ‘israr’
kisi ka rukh pe woh zulfein girana yaad ata hai

Itna toota hun ki chune se bhikar jaunga..


Itna toota hoon ki choone' se bikhar jaoonga...
Abh agar aur dua doge to mar jaoonga

Pooch kar mera pata, waqt raygaan na karo...
main to banjara hoon, kya jane kidhar jaaonga
[waqt raygaan = time waste]

Har taraf dundh hai, jugnu hai na Chiraag koi...
Kuan pehchanega, basti mein agar jaoonga

Zindagi, main bhi Musafir hoon teri kashti ka...
Tu jahan mujh se kahegi, main utar jaoonga

Phool reh jayenge guldaan mein, yadoon ki nazar...
Main to khusbhu hoon, fhizaon mein bikhar jaoonga

Tu kahin bhi rahe..


Tu kahin bhi rahe, sar par tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakeeron mein, mera naam to hai

Mujhko tu apna bana, ya na bana, teri khushi
Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai

Mere hisse' mein koi jaam na aaya, na sahi
teri mehfil mein mere naam, koi shaam to hai

Dekh kar logg mujhe naam tera lete hain
iss pe khush hoon, mohabbat ka yeh anjaam to hai


Woh sitamgar he sahi, dekh ke usko 'Sabir'
shukr hai iss dil-e-bemaar ko aaraam to hai..

Hum tere saher me aaye hai...


Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De
Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De
Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Meine
Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Meine
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De
Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le
Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikaayat Sun Le
Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauqa De De
Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha
Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De
Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De

Humko kis ke gham ne mara...

DIL KI CHOTON NE KABHI CHAIN SE RAHNE NA DIYA
JAB Chali SARD HAWA MAIN NE TUJHE YAAD KIYA
IS KA RONA Nahi KYON TUM NE KIYA DIL BARBAAD
IS KA GHAM HAI KE BAHUT DAIR MEIN BARBAAD KIYA

HUM KO KIS KE GHUM NE MARE YE KAHANI PHIR SAHEE
KIS NE TODA DIL HAMARA YE KAHANI PHIR SAHEE

DIL KE LUTNAY KA SABAB POOCHHO NA SABKE SAAMNE
NAAM AAYEGA TUMHARA YE KAHANI PHIR SAHEE


NAFRATON KE TEER KHAKAR DONSTON KE SHAHER MAIN
HUM NE KIS KIS KO PUKAARA YE KAHANAI PHIR SAHEE

KYA BATAAYEN PYAAR KI BAAZI WAFA KI RAAH MEIN
KAUN JEETA KAUN HAARA YE KAHANI PHIR SAHEE

Kacchi diwar hu..


Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Tumko Aankho Mein TasavIr Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujko
Baat Karnay Mein Jo Mushkil Ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,
Khawab Poora Jo Na Ho Woh Na Dikhana Mujko
Apnay Rishtay Ki Nazaakat Ka Baram Rakh Lena,
Main To Aashiq Hoon Deewana Na Banana Mujko