Saturday 24 November 2012


Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana hai accha sa.
Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo pass ho ke bhi pass nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Hawa ka ek suhana jhonka hai, Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa. 
Chehra dekh kar jo nazrein jhuka le, Kabhi apna toh kabhi begaano sa. 
Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi. 
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai, Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai. 
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahi, Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.
Yuh rehta toh mere tassavur me hai, Par in aankho ko uski talaash nahi. 
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi!!!

Us Ne Pyar Ka KheL ßhi Nafrat Se KheLa, 

Har ßaar Wo ZaLim Meri Hasrat Se KheLa, 


Meri Jaan-O-DiL Pe Saara Haq Tha Use, 

Dukh Itna Hai K Wo Meri Chahat Se KheLa,


DiL Toda To ßikharney ßhi Na Diya Us Ne,

Mere DiL K Saath Kitni ULfat Se KheLa, 


Kaise Us K Hathon Mein ßarßaad Na Hota 

"DOST"

PehLi ßaar Zindgi Me Koi Itni Mohabßat Se KheLa.!

Sunday 18 November 2012

Labon pe haraf naa koyi sawaal rakhtaa thaa, 
Kabhi main bhi zabat main itnaa kamaal rakhtaa thaa ... !

Khabar kahaan thi mujhe hi wo bhool jayegaa,
Ek ek cheez meri jo sambhaal rakhtaa thaa ... !!

Bichhadte waqat bazaahar to kuchh naa bolaa tha,
Magar nighaon main so so sawaal rakhtaa thaa ... !!!

Wo muskura ke bohut dair chup rahaa aakhir,
Jaise hansi ki aad main bahut malaal rakhtaa thaa ... !!!!

Sunaa hai ab bhi log use bohut sataate hain,
Jis aik shaksh kaa main bohut khayaal rakhtaa thaa ... !!!!!


Hanste huwe logon ko, rulaayaa nahin karte,
Hum apna koi zakham, dikhaayaa nahin karte...!

Ik baar jise apni, nigaahon se, giraa dain,
Phir us ko, kabhi dil mein, basaayaa nahin karte ... !!

Us sakhs se mil kar, mujhe ehsaas hua hai,
Jo ped bade hote hain, saayaa nahin karte ... !!!

Rakhte hain unhe hum, sadaa seene se lagaa kar,
Dukh apnaa kisi ko bhi, sunaayaa nahin karte..!!!!

Yeh khel mohabbat ka hai, phir soch lo ae dost,
Kho dete hain yahaan sab kuchh, paayaa nahin karte ... !!!!!


Mujhe Aazmane Wale, Mujhe Aazman Ke Roye,
Meri Dastane Hasrat, Wo Suna Suna Ke Roye ... !

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par,
Kabhi Sar Chhupa Ke Roye, Kabu Munh Chhupa Ke Roye ... !!

Jo Sunai Anjuman Main, Shab-e-Gham Ki Aap-biti,
Kabhi Ro Ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye ... !!!

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai,
Mera Koi Bhi Nahin Hai, Jo Gale Laga Ke Roye ... !!!!

“ Mere Paas Se Guzar Kar, Mera Haal Tak Na Poocha,
Main Yeh Kaise Maan Jaun, Ke Woh Door Ja Ke Roye ” ... !!!!!

Badnam Zamane Main Mohabbat Nahi Karte,
Dil Wale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte ... !

Ek Bar Jise Chaha Sada Uss Ke Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khayanat Nahi Karte ... !!

Tanhai Main Kar Lete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahi Karte ... !!!

Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jayega Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahi Karte ... !!!!

Likhte Hain Faqat Ek Tumhare Liye Ghazlain,
Har Shakhs Pe Hum Aise Enayat Nahi Karte ... !!!!!

Koi Apna Keh Kar Mera Naam Le,
Mujhe Harjaaiyon Se Dar Lagta Hai ... !

Sama Jaaye Koi Mere Vajood Main, 
Mujhe Judaaiyon Se Dar Lagta Hai ... !!

Mohabbat Me Doob Jaoon Mai Bhi Magar, 
Mujhe Gehraaiyon Se Dar Lagta Hai ... !!!

Kar Loon Barbaad Zindagi Apni Magar, 
Mujhe Tabaahiyon Se Dar Lagta Hai ... !!!!

Tu Kahe To Ho Jaoon Mai Teri Magar, 
Mujhe Be'Vafaaiyon Se Dar Lagta Hai ... !!!!!

Thursday 8 November 2012



Teri chahat me guzarti meri har ek shaam thi...
Mere dil se nikli hui har dua tere naam thi...

Ab mujh ko ilzaam na de bewafai ka...
Mere hatho ki lakeeron me wafa aam thi...
.
Qadar pucho un se jo karte h mohabbat ki pooja...
Sirf tere saher me Mohabbat Meri badnaam thi...
.
Apni jaan ka nazrana kaise karta pesh tujh
ko
tere ishq me har sans jo meri neelam thi...
.
Kaise chor deta tanha zindagi ke safar me pagal...
Tere begair to meri zindagi gumnaam thi...



Saath chalne me jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota

Hum bhatakte rahe the raahon me 
tanha
koi rasta pata chala hota

Thaam leta humein bhi barh ke koi
Haath hum ko bhi koi mila hota

Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota

Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota..