Tuesday 23 October 2012

Tum bhi Khafaa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chalaa yaqin ke bure ham hain dosto

Kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
AaNkhen to dushmanon ki bhi purnam hain dosto

Apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise 
Aapani talaash men to ham hi ham hain dosto
Kuchh aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
Kuchh shahar ke chiraaG bhi maddham hain dosto

Is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto

Sab kuchh sahi `Faraz` par itanaa zaruur hai 
Duniyaa mien aise log bahut kam hain dosto

uch andhera bhi zaruri hai gham-e-yaar ke sath,
ab diya koi na rakhe meri dewaar ke sath,

mein jo ik umar masafat mein raha, tab jana,
rah bhi chalti rahi hai, meri raftaar ke sath,

ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ”
yun hi chal parte hein,har ik kharidaar ke sath


Kuch Tu Hee Mere Dard Ka Mafhoom Samajh Lay Faraz,
Hansta Howa Chehra To Zamaane Ke Liye Hay....

--------------------
Tum Taluq torney Ka Kahin Zikar Na Karna Faraz ....!
Main Logon Se Kehdonga K usey Fursat Nahi Milti....!

----------------------------
zalzalay younhi Besabab nahi atay Faraz,
Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga...

---------------------
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,
Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!


------------------------
Hum Na Badlein gay waqt ki raftaar kay sath Faraz
Hum jab b milen gay andaz purana hoga..

---------------------------
ik shakhs kar raha hai abhee tak vafa ka zikr faraz.
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koee...


------------------------
Bara Andhera Tha Un Ki Rahoon MEin Ay Dil FARAZ
Mein Apna Ghar Na Jalata To Aur Kia Kerta

---------------------
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa FARAZ
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain


---------------------

Bin mangay hi mil jati hain tabeerain kisi ko “Faraz”
Koi khali hath rah jata hain hazaroon duaoon ka baad


---------------------

Mere lafzon ki pehchan agar kar laita wo Faraz
Usy mujse nahi khud say muhabbat ho jati..!!!

---------------------

Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz,
Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..!


---------------------

Mere jazbat se waqif hai mera qalm FARAZ
Main pyar likhon to tera naam likha jata hai..

---------------------

Apnay Siwa batao tumhein Kuch MiLa Hai FARAZ ..
Hazar bar lee hain tumne mere dil ki talashiyaan


---------------------

Haath zakhmi hoa kuch apni he khata the faraz
maine kismat ke lakeroun ko mitana chaha

---------------------

Us Se Milte He Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Gaya

---------------------

Pyaar Ka Daava Karne Wale Hum Ne Dekhe Hain faraz…..!
Jinhen Hum Aziz To Hain Magar Apni Masrofiyat K Baad.

---------------------

u apni mohabbat ka dawa na kia kar “faraz”
zinda tu wo bhi rahta hai jo muhabat nahi kerta

---------------------
Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab
Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!

---------------------

Us Shaks Ko To Bichadeny Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jatay Hoe Khud KO Mere Pass Chor Gaya .

No comments:

Post a Comment